Lyrics ♥ Pyaar kiya to darna kya - Mughal e Azam ♥

rickybadboy

Well-known member
--FEMALE--
Pyaar kiya to darna kya, jab pyaar kiya to darna kya
Pyaar kiya koi chori nahin ki, pyaar kiya
Pyaar kiya koi chori nahin ki, chhup chhup aahein bharna kya
Jab pyaar kiya to darna kya
Pyaar kiya to darna kya, jab pyaar kiya to darna kya
Aaj kahenge dil ka fasaana, jaan bhi le le chaahe zamaana - 2
Maut vohi jo duniya dekhe
Maut vohi jo duniya dekhe, ghut ghutkar yun marna kya
Jab pyaar kiya to darna kya
Pyaar kiya to darna kya, jab pyaar kiya to darna kya


Unki tamanna dil mein rahegi, shamma isi mehfil mein rahegi - 2
Ishq mein jeena, ishq mein marna
Ishq mein jeena, ishq mein marna, aur hamein ab karna kya
Jab pyaar kiya to darna kya
Pyaar kiya to darna kya, jab pyaar kiya to darna kya
Chhup na sakega ishq hamaara, chaaron taraf hai unka nazaara

--CHORUS--
Chhup na sakega ishq hamaara, chaaron taraf hai unka nazaara

--FEMALE--
Parda nahin jab koi khuda se
Parda nahin jab koi khuda se, bandon se parda karna kya
Jab pyaar kiya to darna kya

--CHORUS--
Pyaar kiya to darna kya, jab pyaar kiya to darna kya

--FEMALE--
Pyaar kiya koi chori nahin ki, chhup chhup aahein bharna kya
Jab pyaar kiya to darna kya



[/B]
 
Top