~¤Akash¤~
Prime VIP
Is ka apna hi karishma hay fasoon hay, youn hay
Youn tou kehnay ko sabhi kethtay hain youn hay youn hay
Jaisay koee darr-i-dil pay ho staada kab say
Ik saya nah droon hay nah broon hay, youn hay
Tum nain daikhi hi nahi dasht-i-wafa ki tasweer
Nok-i-har khaar pay ik qatara-i-khoon hay, youn hay
Tum mohabbat main kahan sood-o-zian lay aaey
Ishq ka naam khird hay nah junoon hay, youn hay
Ab tum aaey ho meri jaan tamasha karnay
Ab tou darya main talatam nah sukoon hay, youn hay
Naasiha tujh ko khabar kia keh mohabbat kia hay
Roz aa jata hay samjhata hay, youn hay youn hay
Shairi taaza zamanoon ki hay maimaar
Yeh bhi ik silsila-i-kun fayakoon hay, youn hay ...