Ye karen aur wo karen,aisa karen wesa karen, Zindagi do din

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ye karen aur wo karen,aisa karen wesa karen,
Zindagi do din ki hai,do din mein hum kya kya karen

Ji mein aata hai k dein parde se parde ka jawab
Hum se wo parda karen,duniya se hum parda karen

Sun raha hoon kuch luteray aagaye hain shehar me
Aap jaldi band apne ghar ka darwaza karen

Is puraani be-wafa duniya ka rona kab talak
Aaiyey mil-jul kay ik duniya nayi paida karen
 
Top