~¤Akash¤~
Prime VIP
Tere naam ki thi jo roshni use khud tu ne bhujha diya
Jise jalaa saki thi na dhoop use chandni ne jalaa diya
Main hoon gardisho ka maara hua mujhe aap apni khabar nahi
wo jo shakhs tha mera rehnuma use raasto main ganwa diya
Jise samjha tha tu ne rakeeb wo tera naseeb tha
tere haath ki lakeer tha use tu ne haath se hi mitaa diya
mujhe ishq hai ya junoon ye faisla abhi na ho saka
mera naam zeenat-e-dasht tha jise aandhiyo ne mitaa diya
ye udaasiyo ka jamaal hai ya umrao-jaan-e-kamaal hai
ke kabhi zaat se bhi chupa liya to kabhi sher bhar ke suna diya
meri umar ka gulistaa abhi khilaa hua hai zaroor per
wo jo phool the teri chaah ke inhe mausamo ne giraa diya