tum jab jab thokar mara karte,badh ke pair pakarti thi

~¤Akash¤~

Prime VIP
ik din aisa bhi tab aaya,woh aaya par dar khula nahi
darwaze par hansata hua,ek chera us ko mila nahi
darwaza khol magar jab,ghar ke woh anadr aya
darwaze se kuch door us ne ,kagaz ka ik tukra paya
aansoo se the harf likhe ,aansoo kee baat bikhri thi
har akhsar tha dhula hua,har baat hi nikhri nikhri thi
ab sambhal ke rakhna khud ko,itna mat gussa karana
aur kisee ne kab seekha hai,tum pe jeena tum pe marana
woh pagal larkee rahee nahi, jo tum ko khoob samjhti thi
tum main hai woh kahi,tum tak hi uski duniya simati thi
jo tumahre har tane main ,pyar hamaesha parhti thi
tum jab jab thokar mara karte,badh ke pair pakarti thi
....
 
Top