Lyrics TUM DIL KI by Kishore Kumar

KK: Ye raaten, ye mausam, nadi ka kinaara, ye chanchal hava
AB: Aa aa aaa aa aaa aaa hmm mm mm

KK: Ye raaten, ye mausam, nadi ka kinaara, ye chanchal hava
AB: Kaha do dilon ne, ki mil kar kabhi hum, na honge juda

Both: Ye raaten, ye mausam, nadi ka kinaara, ye chanchal hava

AB: Ye kya baat hai aaj ki chaandani men
Ye kya baat hai aaj ki chaandani men
Ke ham kho gaye pyaar ki raagini men

KK: Ye baahon men baahen, ye bahaki nigaahen
Lo aane laga zindagi ka maza

Both: Ye raaten, ye mausam, nadi ka kinaara, ye chanchal hava

KK: Sitaaron ki mahafil ne kar ke ishaara
Sitaaron ki mahafil ne kar ke ishaara
Kaha ab to saara jahaan hai tumhaara

AB: Muhabbat javaan ho, khula aasamaan ho
Kare koi dil aarazu aur kya

Both: Ye raaten, ye mausam, nadi ka kinaara, ye chanchal hava

AB: Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe...
Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe...

KK: Rahe saans jab tak ye bandhan na toote...

AB: Tumhe dil Diya hai, ye waada kiya hai...
Sanam Mai tumhaari rahungi sadaa...

KK: Ye raate, ye mausam, nadi ka kinaara...
Ye Chanchal hawaa...

Both: Kaha do dilon ne, ki mil kar kabhi hum, na honge juda
Ye raate, ye mausam, nadi ka kinaara...Ye Chanchal hawaa...
 
Top