Tu daaman apna bacha gayi

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tujhe bhoolne ki koshish mein,
Jab dil ye zid pe aa gaya,
Main aankh moond ke baith gaya,
Tu khayaal pe phir chaa gayi…
Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa,
Meri nabz Thehr naa jaaye kahin,
Tune Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gayi…
Meri har daleel ko kiya an suni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, han Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi
Mujhe chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe suraj ki bhi fikar nahin,
Bas aankh kholna chahte the ham,
Magar Tu roshni hi bujha gayi
Beshak bhoolna tujhe chaha bahut,
Hans kar kabhi, ro kar kabhi,
De kar ye aansuon ki saugaat mujhe,
Tu daaman apna bacha gayi
 
Top