to apni ruh ko aj dafna kar aya na hota

~¤Akash¤~

Prime VIP
unhone hmko dekhkar muskraya na hota
to unki ada ko dil se lagaya na hota
hum to masgur the apni tanhaeon main
wo samne na hote to sapna sajaya na hota
unhone hmse agar wada kia na hota
to unki bewafae par aj aansu bahaya na hota
unke saath bitaya pal yaad aya na hota
to aj mahfil ko choor kar aya na hota
phli mohabat ka inaam yaad aya hota
to aj dusri mohabat ka azhar karke aya na hota
wo kaanton k lagne se nikla lahu dikh jata
to aj jakhmon par marham lagaya na hota
us jalim ko agar pahchan ya hota
to uske liye fariyad karke aya na hota
wo pathar dil kaash tuta na hota
to aj phulon se thokar khaya na hota
mohabat ka safar kamyab ho gya hota
to aj bagawat karke aya na hota
meri jaan ko agar unki khusboo mil jati
to apni ruh ko aj dafna kar aya na hota
 
Top