Suno

yugi

Elite
daikho
aj kitni udasi hai
hawa bi tham si gai hai
har soo ho ka aalam hai
pat'ton ki sarsarahat sey
ajab sa shor berpa hai

parindon ki chahchahat bhi
aik ajb ahsas dilati hai
jaise
jaise koi bicharne wala ho
jaise koi totne wala ho
aankhain chalak rahi hai
bytabi ka sa aalam hai
dil duaain mang raha hai
kapkapate hath daikho
ging ziban ki
rehnumai bamushkil ker rahe hain
tumhain alwoda kehne k liye
yeh palkain jhuk gai hain..
umeedon ka bandhan ab tot'ta jata hai
lab sil se ge hain,,
qadam jam se ge hain
waqt bhi daikho
kaise sakat khara hai
zindgi ki roshni ab mand per gai hai
judai ki wehshat
apna phan phelye
yoon khari hai
jaise abhi hamain das le gi
youn lagta hai jaise
ham kabhi mil naa paa'ain ge
jaisay ab kabhi ham
hans na pa'ain gay

jaisay ab wo qehqahay kabhi
khamoshi cheer na paain gay

is sey pehlay k
zabt ka daman choot jaay..
is se pehle k
yeh dil toot jaye
is sey pehlay k
roh perwaz ker jaye
suno
tum apni raftar berha lo
suno
peche mur ker mat daikhna
k
peche daikhne wale
aksar haar jate hain
suno
main tumhain hara hoa daikh nhi sakta
suno
tum chale jao
maire zabt ka
our imthan mat lena

khudara peche mat dekho
suno tum chalaejao
alwida aa ham nashin alwida
ab tum chalay jaao
bas tum chale jao
 
Top