Shaam Furqat Dhale, Hum Nahi Chahate,

Shaam Furqat Dhale, Hum Nahi Chahate,
Gam Se Fursat Mile, Ham Nahi Chahate.....
Phir Naya Waar Sehne Ko Taiyyar Hain,
Tu Pareshan Rahe, Ham Nahi Chahate.....
Aaj Ansoo Bahane se, Mat Roko,
Aaj Baris Thame, Ham Nahi Chahate.....
Ham Tere Baad Ujde Hon, To Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lage, Ham Nahi Chahate.....
Tere Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Se Hate, Ham Nahi Chahate.....
Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Gam Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate.....
Iss Qadar Pyaar se Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lage, Ham Nahi Chahate.....
 
hmmm just wana say uu ik gal... tuhadi shayarii boht hi wadiya ...
me "woh" di jaga "tum" use kr reha .. aiwe mind na kar lyo huh.. gussa te lagda nakk te hunde tuhade ;P

Mila Tum b nahi karte,
Aur Mila Hum b nahi karte

Wafa Tum b nahi karte,
Aur Wafa Hum b nahi karte

Tumein Ruswai ka Dukh,
Aur Hamein Tanhai ka Darr

Gila Tum b nahi karte,
Aur Shikwa Hum b nahi karte

Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Tum b nahi karte,
Aur Thera Hum b nahi karte

Jab b dekhte hain Tumein,
Sochte hain kuch kahein tUmse

Suna TuM b nahi karte,
Aur Kaha Hum b nahi karte

Lekin! ye b Sach hai k Mohabbat Tumein b hai
Izhaar Tum b nahi karte,
Aur Kaha Hum b nahi karte

 
Top