mere saath hi jayegi

~¤Akash¤~

Prime VIP
raat ki taraf zindagi ne badaya hai haath...
ujaalon ka to nahin ...andheron ka hi mil jaaye saath...
kuch gumnaami mein ji loon abhi..
subah na jaane hogi kabhi..
ujaalon ne to meri baat thukrai hai..
shayad raat ki tasveer mujeh mein nazar aayi hai..
par andheron se karke wafa...
roshni ke daaman se na ho jaoon juda...
kuch bhi ho hausla abhi toota nahin...
kya hua jo raat ka saath choota nahin...
meri manzil hai kya .. raat jaan payegi..
kab tak mujhe gumnaami mein chupayegi...
dekhna ..subah ke suraj ki or..
mere saath hi jayegi
 
Top