main wohi hoon jise tum pyaar kiya karte the

~¤Akash¤~

Prime VIP
main wohi hoon jise tum pyar kiya karte the
din mein sau baar mera naam liya karte the

aaj kya baat hai kyon mujh se khafa baithe ho
kya kisi aur ko dil apna bana baithe ho

faasle itne to pehle na hua karte the
main wohi hoon jise tum pyaar kiya karte the

mujh ko maalum hai gham hai koi saugaat nahi
tum mujhe apna kaho aise bhi haalaat nahi
aur gar bhool gaye ho to koi baat nahi
zakhm to pehle bhi is dil pe laga karte the
main wohi hoon jise tum pyaar kiya karte the
 
Top