kuch yoon tere khayal main ddooba hua hoon main

~¤Akash¤~

Prime VIP
beetay dinon k dasht se aati sada hoon main
ujrray gharon main ghoomti pagal hawa hoon main
hoon to tere jism ka saya hi kia hua
bas zindagi ki sham talak hi juda hoon main
kia jaanay kab bigaarr de ye sar phiri hawa
beeti hui bahaar ka ik naqsh e paa hoon main
yoon to mere bhi rang hain kuch an ginat magar
har ik ko aik rang nazar aaraha hoon main
jaanay wo aik lamha bhi kia kia badal gaya
kiun baar baar apni taraf dekhta hoon main
ik din teri talaash ki manzil bhi aay gi
ab tak to apne aapko hi ddhoonddta hoon main
lipttay hon jaise "" ki chaadar main baam o dar
kuch yoon tere khayal main ddooba hua hoon main
 
Top