kaun kahataa hai

kaun kahataa hai ke maut aa_ii to mar jaa_uuNgaa
main to dariyaa huuN samandar mein utar jaa_uuNgaa

teraa dar chhoD ke main aur kidhar jaa_uuNgaa
ghar mein ghir jaa_uuNgaa saharaa mein bikhar jaa_uuNgaa

tere pahaluu se jo uThuuNgaa to mushkil ye hai
sirf ik shaKhs ko paa_uuNgaa jidhar jaa_uuNgaa

ab tere shahar mein aa_uuNgaa musaafir kii tarah
saayaa-e-abr kii maanind guzar jaa_uuNgaa

teraa paimaan-e-vafaa raah kii diivaar banaa
varnaa sochaa thaa ke jab chaahuuNgaa mar jaa_uuN gaa

chaaraasaazon se alag hai meraa mayaar ke main
zaKhm khaa_uuNgaa to kuchh aur saNvar jaa_uuN gaa

ab to Khurshiid ko Duube hue sadiyaaN guzariin
ab use DhuuNDhane main taa-ba-sahar jaa_uuNgaa

zindagii shammaa kii maanind jalaataa huuN 'Nadeem'
bujh to jaa_uuNgaa magar subah to kar jaa_uu.Ngaa
 
Top