Kaash

#m@nn#

The He4rt H4ck3r
yeh dil aaj es kadar tanha na hota
agar usne ek kadam bhi mera saath diya hota
use to aadat thi jamaane ko saath lekar chalne ki
kaash usne mere tanha dil ka bhi khyaal kiya hota

mai jamane se ladne ko tyaar tha uski chahat ke liye
ek baar mujhe apna samjh kar mera naam to liya hota
yunhi jalta raha mai jis shmaa ka parwaana bankar
us shmaa ne meri chahat par kaash aitbaar kiya hota

jab kisi ki chahat me beekhar gai hasti meri
kisi ne aakar mujh se ye kaha
kaash aapne jindagi me kabhi pyaar kiya hota...

By Unknown
 
Top