jeena sikha gaya.

~¤Akash¤~

Prime VIP
koi Su’nn na lai unkahi baatain..

Zindagi ko na chairro…ro dey gi…
jab yai roey gi tou merey dil ki aawaz
Sunaai dai gi, jaisey koi ghum ka saaz
aur yun merey ehsaas mai samaey gi,
Yaad yun aaien gi wo sab guzri baatein
har beet_ta pal apney aap main kho ker
thora mujh se qareeb, thora door ho ker
mujh sai apnay anjaan honay ka
gila karay ga

Ehsaas hoga…
kay, aankhon kay yai aansoo..
ye meri hasratein, ye justujoo
bai naam nahi hain,
muntashir in mai haein guzri baatein
wo beeta pal wo guzra huwa kal
kabhi kabhi anjaaney sapnon ki raah sajaey
apni nazrain chupaata huwa…..
mujh ko anjaan nazroon sai dekhta jaey..

Ehsaas hoga…
kay, ird gird kay log…
kuch aisay guzertay hain merey paas sai..
kay main koi jism nahi, ek saya hoon
aik aisa aks hoon jis ka koi wujood nahi!
mujh mai koi mojood nahi

Aik tarap hai…..
unkahi si….
aik khalish hai…
Dabi dabi si
jis kay ehsaas ka koi naam nahin
aik rog hai…
ba zahir koi zakhm nahin…
aik soag hai …aik ahh si hai…
jis ki apni koi Aawaaz nahin…
raaz aisa hoon mai ke jiska koi
hamsukhan, hamnafas hamraz nahi

Kis say kahoon ?
kis kis ko samjhaoon…
kay aur ronay ko dil ab nahi kerta…
koi laikin kiya jaaney, kiya samjhey..
kay inn aankhon sai na janey
kabhi kabhi.. kitney aansoo barastey hain…
Or yai dil tou….
aksar hi aasooda-e-gham rehta hai…

Woh jatey jatey Aankhon mai sapney saja gaya
Goya baghair saans kai jeena sikha gaya.
Mahheen.
 
Top