humare dil me hai AAJ bhi kisi ki yaad ka mausam

~¤Akash¤~

Prime VIP
Koi mausam ho dil me hai tumhari yaad ka mausam..
k badla hi nahi jana tumhare baad ka mausam..
nahi tu aazma k dekh lo kaise badalta hai..
tumhare muskurane se dil-e-nashaad ka mausam..
ruton ka qayeda hai waqt pe ati hain jati hain..
humare sheher me kyu ruk gaya faryad ka mausam..
kaheen se is haseen awaz ki khushbu pukaregi..
tu iske saath badlega dil-e-barbaad ka mausam..
na koi ghum khizaan ka hai na khuahish hai baharun ki..
humare dil me hai AAJ bhi kisi ki yaad ka mausam
 
Top