hamain to haadsey pamaal kar gaye hotey..... tumhara saath n

~¤Akash¤~

Prime VIP
hamain to haadsey pamaal kar gaye hotey.....
tumhara saath na hota to mar gaye hotey....

jo in k seeney main meri tarah dhadkta dil.....
sitaarey kab k zamee.n par bikhar gaye hotey....

hum aisey darbadron ka jo koi ghar hota.....
to hum bhi sham dhale apne ghar gaye hotey....

jo kaar haaye numayan kiye hain insaa.n ney....
farishtey hote zamee.n par to dar gaye hotey...

jo us ka ask na parta mere khayalon par....
tamam hurf ghazal k bikhar gaye hotey....

agar hotey na hum apni khuwahison k ghulam....
to pyar ban k dilon main utar gaye hotey...!!!
 
Top