Ham bhi ALI tumhein dua detay

~¤Akash¤~

Prime VIP
Dil se yaadein teri bhulla detay
Khud ko ham is tarah sazza detay

Tere aane ki gar khabar hoti
Raah phoolon se ham sajja detay

Khud ko jab tere naam ham ne kiya
Tum bhi badle mein phir wafa detay

Kash k ham tumhare khat ki tarah
Sab k sab khwab jalla detay

Ek baar ham se to kaha hota
Ham ko ek baar to sadda detay

Ek zara jo tum muskura detay
Ham bhi ALI tumhein dua detay
 
Top