Faqat ek khwaab ki chaah mein har haqeeqat bhula di hum ne A

~¤Akash¤~

Prime VIP
Faqat ek khwaab ki chaah mein har haqeeqat bhula di hum ne
Ab sochtay hain kyon khud ko yeh saza di hum ne

Donoo hi qaid rahay apni anaa ke hisaar mein
Na us ne murr ke dekha na sada dee hum ne

Is umeed pe ke kabhi tu shab-e-gham ki bhi sehar hogi
Tamaam umer tairqee mein hi bita dee hum ne

Rishtay bhi ajnabi thay ajnabi dayyaar ke
Wohi dushman-e-jaan huwa jissay dil mein jaga di hum ne

Ehl-e-duniya dushmani jane kis tarhaan nibha letay hain
Ek dosti nibhaanay mein umer ganwa dee hum ne

Zindagi pehlay bhi kuch itni sehal nahee thee
Phir tujhe chaah ke aur bhi katthin bana lee hum ne

Un ko bhi ho khabar yeh zaroori tu nahee
Jin ki khaatir apni hasti tak mitta dee hum ne

Us ke laut kar aanay ka koi waada thaa na umeed
Jane kyon phir woh raah har shaam taki hum ne ...
 
Top