dua yeh qabool hamari ho yeh dua tum bhi khuda se kiya karo.

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ek guzarish hai tumse ,
tum yoon humein yaad na aaay karo,
dhadakta hai zara si aahat pe bhi yeh dil,
tum yaad banke dil ko aur mere sataya na karo...........

Ek guzrish hai tumse,
yoon raaton mein neendein churaya na karo,
bahoot haseen hai yeh saath tumhara mere liye,
khwaab banke hi meri aankhon mein tum raha karo..........

Ek guzarish hai tumse,
humko mehfil mein yoon ruswa na kiya karo,
muskaan aa jati hai labon pe hamare aap ko soch ke,
yoon hamare pyar ka imtihaan tum mehfil mein liya na karo..........

Ek guzarish hai tumse,
aise na khule aam tum naam hamara liya karo,
falak tak yeh saath tumhara sang hamare bana rahe,
dua yeh qabool hamari ho yeh dua tum bhi khuda se kiya karo....!!!
 
Top