Bachpan ke anokhe sawal..!!

Bachpan ke anokhe sawal..!!

Ye baat samajh mein aayi nahi..
Aur mummy ne samjhai nahi..
Main kaise meethi baat kahu ??
Jab meethi cheez koi khai nahi ??
Ye chaand kaise mamu hai??
Jab mummy ka wo bhai nahi??
Kyo lambe baal hai bhalu ke??
Kya usne trimming karayi nahi?
Kya wo bhi ganda baccha hai?? Ya jungle me koi nahi nahi??
Nani ke pati jab nana hai,
Dadi ke pati jab dada hai,,
Didi ke pati kyo dida nahi??
Samandar ka rang kyo neela hai ? Jab neel kisi ne milai nahi??
Jab school me itni neend aati hai??
To kyo bed waha rakhvayi nahi??
Ye baat samajh me aayi nahi
Aur mummy ne samjhai nahi..!!

Sach Mein Yaar..!!! UNKNOWN
 
Top