aksar tanhai main Yaad Khuda bana leti hoon

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tanhaai ka safar shuroo kiya hai bina sochey
tere bina ab shayad kathin rasta kat jaye
tanhai main har kisi ko sathi bana leti hoon

Kabhi apne se batein karkey kabhi tanahi ko roke
Maloom b hai bina tere rasta door b hai
magar rastey tujhe apni manzil bana leti hoon

Kabhi main sahera main pyasi bhtakti hoon
To tanhai main pyass bujha leti hoon

Kabhi ankhon se bin mousam barsat hojaye
To palkon ko apni chatt bana leti hoon

Kabhi jo aye purane zakham dil ko taza karne ,
to kabhi zakhmo ko marham bana lati hooon

Kabhi jo maire aangan main chand utrey
To us dess k chand ko maheman bana leti hoon

Aakeley mein kabhi toot jati hoon
To sajde main khuda ke sir jhuka leti hoon

Yeh tanhai ka dukh gahera q hota hai
aksar tanhai main Yaad Khuda bana leti hoon
 
Top