adhura har din mera ho jiski subah aur raat mein tu na ho...

~¤Akash¤~

Prime VIP
wo mohabat hi kya jismein yaad na ho,
wo zindagi hi kya jismein pyar ka rang na ho,
raaton mein chandni kahan jahan kisi ka saath na ho,
din mein guzara kaisa jab yaar e dil ki yaad saath na ho,
wo geet hi kya jismein tera lafzon ki gungunahat na ho,
...
wo mohabat kya jismein yaar ka roothna manana na ho,
wo khamoshi hi kya jismein pyar ki dheroon baatein na ho,
wo mera astitav hi kya jismein tere pyar ka aks na ho,
wo lamha hi kya jismein teri yaadon ka mela na ho,
wo mehfil e roshan hi kya jis mein tu shamil na ho,
....
mere dil mein jeene ki Tamanna hi kya jab tu na ho,
adhura har din mera ho jiski subah aur raat mein tu na ho...!!!
 
Top