Ab kehdo, kehdo na ki chaahat hai tumko bhi, aaj tum itni ch

~¤Akash¤~

Prime VIP
Mehfil mein naam kisika le rahe the tumhara naam lab pe aaya
Sooni raahon pe jab jab mudke dekha to tera hi saaya paaya
Itna bataao ke samjhkar nasamajhi ka nakaab odhe kyun ho?
Jab hum keh chuke apni chaahat ke baare mein, tum chup kyun ho?
..
Kucch arz karte hain jab to tareef ke bol barsaati ho har dam
Yeh sochti to hogi tum, kya kasak hai? kiske liye likhte hain hum
Itni khabar to hogi tumko phir yun khaamosh gumsum kyun ho?
Aankhein keh rahi hain sab jab, tum itni chup kyuun ho?
...
Kam sote hain, kam khaate hain, tum is baat pe bahut bigadti ho
Sochta hoon mein, sochte-sochte hansta hoon, koi chaahat agar na ho
Yu'un zindagi sawarney mein meri, tum itni magan kyun ho?
Ab kehdo, kehdo na ki chaahat hai tumko bhi, aaj tum itni chup kyun ho?...!!!
 
Top