aamon ke baagon mein kaise saawan saawan barsa aansoo.....

~¤Akash¤~

Prime VIP
paas se dekho jugnoo aansoo,door se dekho taara aansoo;
main phoolon ki sez pe baitha aadhi raat ka tanha aansoo.
meri in aankhon ne aksar gam ke dono pahloo dekhe;
thahar gayaa to patthar aansoo,bah niklaa to dariyaa aansoo.
pyaar ajab talwaar hai jis par hum dono ke naam likhe hain;
tahni tahni kaliyaan aansoo.teri aankh mein mera aansoo.
apne bachpan ka kissa hai ,ik tasweer banaai usne;
mehndi waale haath rache hain,beech hatheli tapkaa aansoo.
mausam ki khushboo mein aksar gam ki khushboo mil jaati hai;
aamon ke baagon mein kaise saawan saawan barsa aansoo.....
 
Top