An Unforgettable Conversation Between A Young Nimbu Mirchi

Miss Alone

Prime VIP
An Unforgettable Conversation Between A Young Nimbu Mirchi Hawker And A Shopkeeper

boy1750x500-1.jpg


A big salute to this child, every Saturday he comes to my store for selling nimbu mirchi. When I saw him I was having lots of question in my wind which I wanted to ask him would like to share my questions and his replies with you all.

My 1st question- beta teri age kitni hai??
His answer- maloom nahi
My 2nd question- tu kaha rehta hai
His answer-wadala(mumbai)
My 3rd question- itni dur se yaha kaam karne kyu aata hai
His answer-yaha achhe paise kamane ko milte hain.
My 4question-sirf saturday ko hi kaam karta hai kya?
His answer-nahi, roj kaam karta hu.
My 5 question-aaram kab karta hai?
His answer-jab bimar hota hu…
My 6 question- kitne baje aata hai aur jata hai?
His answer- subah 7 baje aata hu aur jab tak sab saman bik jata hai tab jata hu..8 se 9 baj jate hain roj.
My 7th question-khana kaha khata hai?
His answe- ghar se dabba leke aata hu
My 8th question- ghar mein kaun kaun hai?
His answer- daddy mummy aur ek chhoti bahen.
My 9th question- daddy kya kaam karte hain?
His answer-wo bimar hain kaam nahi karte, ghar per hi rehte hain.
My 10th question- roj kitna kamata hai?
His answer- 400 se 500 aur kabhi kabhi 700 to 800.
My 11th question-school kyu nahi jata?
His answer- school jana chahta hu lekin ghar ki sari jimmedari mujhpe hai.
My last and 12th question- bada banke kya banega.
His heart touching answer- apni bahen ko bahot padaunga aur doctor banaunga,apni mummy ka khayal aur khush rakhunga aur daddy ka treatment bhi kara
unga.
 
Top