aaj pata ni kyu

Aaj hawan ka jhoka jaise kuch keh raha hai,
warna yuhi deewar par lataki hue tumhari tasweer na heele hote,

baarish ke buuunden, jaise koi sandeesha,
in baand khirdhiyoon par likh rahe ho,

aaj pata nahi kyon, hamare ghar par baith kar kaunwa ,
kau-kaukar raha hai,

baarsoo se band tha jo kamra hamara, na jaane kyon aaj us kamre main jaane ko maira dil kar raha hai,
wo kursi tumhari, jo dhool se bhare hue hai,
wo deeware jo chatak kar laakeere bana chuke hai,
dhoop jo baar-baar tuthe hue band kamre se aandar aana chah rahe hai,

aaj pata nahi kyon hawaon ka jhoka jaise mujhse kuch reh raha hai.............

na jaane kyon aaj maire neegahe goan ke us duur chowraye par tak-takilagaye baithe hai,
na jaane kyon aaj martbaano main rakha hua aachar se mehak mujhe aa rahe hai,
na jaane kyon aaj tumhari aawaz duur gagan se, maire kaano mainsunaiye de rahe hai,

aaj pata nahi kyon hawaon ka jhoka jaise mujhse kuch kehna cha raha hai,
warna tumhari deewar par latki hue tasweer na heele hote.......................... .......

aaj pata nahi kyon............
 
Top