wafa

jimmi

Elite
--------------------------------------------------------------------------------

WAFA
Barson ki wafa ka hum ne inaam paya
dagha ki us ne ilzaam humare naam aaya

Majboor hey ab woh nah mill sake ga kabhi
ajj mere mehboob ka naama mere naam aaya

Suna hey sharab har gham bhula deti hey lekun
woh mujhey aur yaad aaey jab samne jaam aaya

Woh wafadar sahi hum hi be wafa hoongey shaed
jaan hi lein gey sabhi jab waqt-e-anjaam aaya

Nah jane kiun woh nazrein chura rah tha yaaro
aaj jab mere samne woh bar sare aam aaya

Qasmein khai thein jinhon ne sath nibhane ki
para waqt tu koi dost nah hamare kaam aaya

Kun jaane kessi gardish mein hey apna sitara JIMMI
humein phir chalna para jab bhi rukne ka muqam aaya
 
Top