Surkh Kafan ... udeekaan teriyaan!!!

Jab bhi yaadon ke aaine mein khud ko dekha
har lamha barha-bar guzar jata tha

kisse shuru hote the chai ki mej par
aur lafzon ka huzoom bikhar jata tha

yaadon mein tumhi tum,
har lamha teri nazm,
hothon se teri soorat keh dun,
lafzon ke dariya mein beh dun,
kasam leke tera ye kehna,
shaam hote hi yaad aata tha

neenden sona khuli aakhon se,
paidal jana tang raahon se,
kya ishq sadiyon se tha waisa,
reh reh ke jo mere
dil ko yun tadpata tha

rooh ke zakhmon ko kurede jana,
kabr ke aaine ko dekhe jana,
dil ke tukde sambhale hain ek-umr,
surkh ho gaya kafan mera,
safed kabhi nazar aata tha

Jab bhi yaadon ke aaine mein khud ko dekha
har lamha barha-bar guzar jata tha !!!!
 
Top