shyarana hai ajj rose......!!!

er_rose

"Puttar mitharey mevey"


Rose shyarana hai ajj............
tadap uski mohabatt ka, kahan jane se jata hain
main jitna bhulti hu usko, woh utna yaad aata hain


hain mushqilien itni, ki hur pal bojh lagta hain
magar jub yaad aata hain toh yeh dil muskurata hain


main uske khawab se beshaq saja leti hu raton ko
magar subah nigahon ka samandar lout aata hain

jahan yeh pura pura din, main tanha kaant leti hu
wohi jub chand aata hain, toh yeh dil toot jata hain

koi jaakar usey keh de yeh uske naam ka gum hain
reham dil banke jo meri bechargi par afsos jatata hain

meri hur ek hasrat mein, tasavuur mein, haqeeqat mein
main usko yaad rakhti hu, woh mujhko bhool jata hain





:rose


 
Top