Meri itni see Khwahish hai k

yugi

Elite
Meri itni see Khwahish hai k
Main ik Asman hota
Aur tu meri Zameen hoti
Main jhuk kar teray saray gham
Apne kandhon pe dho leta
Teri taklefain Teri kathaian
Khud main samo leta
Mere badlon say barishin
Chham chham barasti tu
Tujhe sirab kar detin
Wo Teri piyas ko pe kar tujhe shadab kar detin
Mere Soraj ki kirnain tuj par parti
Badi anmol ho jatin
Hawa se mill kar ik nayi shakal main dhalti
Ghazal k bol ho jatin
Main tuj se rothta tu tareek ho jata
Magar phir bhi mare Chanda tere hi sath ho jata
Kahain tare chamak parte go tera husan bhadane ko
Magar be-tab rehte wo tera Anchal sajane ko
Lakin janan !!! Main ne mana
K aisa ho nahi sakta
Magar phir bhi meri itni see Khwahish ha​
 
Top