Kismat [SehaJ]

SehaJ

Troublemaker
Jhooti tasaliyon ke siwa kuch na de saka
kismat ka devta bhi shayad gareeb tha

zarzad ki kismat mein zaban bhi hai makan bhi
be-zad ke muqaddar mein na dunya hai na din hai

haathon mein beh rahi hai lakiron ki aab jo
kismat ka khaet phir bhi hai banjar para huwa

tarteeb zindage koi mushkil na thi magar
kismat ne hum ko haath hi toote huwe diye

woh ajj hum ko batate hain kismaton ka haal
zameen per reh ker jo taroon ki baat kerte hain

neend kuch hum ko hi aati nahi warna
apni kismat ko to soe huwe arsa guzra

:b
 
Top