Jane wo kaise log the

Jane wo kaise log the jin k pyaar ko pyaar mila,
Humne toh jab kaliyan mangi kantun ka haar mila.
Khushiyun ki manzil dhundi toh gham ki gard mili,
Chahat k naghmein chahe toh aahein sard mili,
Dil k booch ko dona kar gaya jo ghamkhar mila,
Humne toh jab kaliyan mangi kantun ka haar mila.
Bichard gaya har saathi dekar pal do pal ka saath,
Kis ko fursath hai jo thamey diwanun ka haath,
Hum ko apna sayaa tak aksar bezar mila,
Humne toh jab kaliyan mangi kantun ka haar mila.
Iss ko hi jeena kehte hain toh yunhi jeeleyinge ,
Ouf na kareyinge,lab si leyinge, aansun pileyinge,
Gham sey ab ghabrana kaisa gham soo bar mila,
Humne toh jab kaliyan mangi kantun ka haar mila.
 
Top