eay raat.......

Eay raat
tu sou mat jaana....
meray saath
jaagti rehna.
dikhati rehna
sapne sunehray
preetam ki preet k
janmoN k meet k.
vaada hai us k aane ka
sitaron ki roshni mein,
chaand pe ho svaar.
na tum koi kami rakhna
usay smwarne ki
na main koi kasar rakhunga
usay niharne ki.
tum lagaa dena kaajal
uski aankhon mein
apni siahi ka,aur
lagaana kala tika
uski gaaloN pe,
kahiN meri hi nazar na lag ja-ay.
lagana raat ki rani
uske waaloN mein.
dekhti rehna
shrma mat jaana
meray mehboob ko dekh kar.
chundhia jaayngi teri aankhe
par
ghabra mat jaana
meri trah.............
 
Top