Afsan-E-Ishq

maitybaba

MaityBABA
Koi deewana kehta hia, koi pagal samajhta hai,
Koi deewana kehta hia, koi pagal samajhta hai,
Magar Dharti ki becheini ko bass badal samjhta hai...
Mein Tujhse door kaisa hun, Tu mujhse door kaisi hai,
Mein Tujhse door kaisa hun, Tu mujhse door kaisi hai,
Yeh Tera Dil Samajhta hai ya mera dil samajhta hai...

Mohabbat ehsaason ki ek paawan kahani hai,
Mohabbat ehsaason ki ek paawan kahani hai,
Kabhi Kabira deewana tha, Kabhi Meera deewani hai...
Yahan sab log kehtein hain meri aankhon mein aansoo hai,
Yahan sab log kehtein hain meri aankhon mein aansoo hai,
Jo tu samjhe to MOTI hai, jo na samjhe to PANI hai...

Samandar peed ka andar hai lekin ro nahi sakta,
Samandar peed ka andar hai lekin ro nahi sakta,
Yeh aansoo Pyaar ka MOTI hai isko kho nahi sakta...
Meri Chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le,
Meri Chahat ko apna tu bana lena magar sun le,
Jo mera ho nahi paya woh tera ho nahi sakta...

Bhanwar koi Kumudni par machal beitha to hungama,
Bhanwar koi Kumudni par machal beitha to hungama,
Humare dil mein koi khawaab pal beitha to hungama...
Abhi tak doob kar sunte they sab kissa mohabbat ka,
Abhi tak doob kar sunte they sab kissa mohabbat ka,
Mein kisse ko haqiqat mein badal beitha to hunagama...
 
Top