AAJ Fir II - Back lanes from memory became alive

Ye jo lambe arse se chala aaya hai shauk mera
koi daad de ki ek naam aur juda jaata hai
baaten, waqt ki paibandiyaan fir se shuru hongi
fir se rukna hoga use, jo shakhs uth ke yahaan se jata hai
ek arse ke baad khul-e-aam charche honge khuda aur ishq ke
aur ek chuppi hogi jiska sukhad ehsaas, mujhe bahut bhaata hai
aainon pe naye rang se chadhenge, misaalen denge kayi naamon ki
surkh rang shaamil hoga zindagi mein, jawani bhar jo jalata hai
har naam se shuru hogi, har chehre pe khatam hogi
rafta rafta - lamha lamha, jaise parvana jala jata hai
raahon ke charche honge, shehron ke aur fizaaon ke
aur dard hoga alvida ka, jise kehke koi chhod ke chala jata hai
meri yaadon mein band hain kayee rishte aise
bhoolo jinhen jitna bhi, dil fir bhi dohrata hai
anjaan si shakhsiyaten, benaam si soorat-en
jinke liye koi kabhi poori khudayi ko bhulata hai
aane wale kuch din aur haseen kat jayenge
deewar ki keel hai dosto....
..jahaan har baar resham ka paraanda naya aata hai
ye jo lambe arse se chala aaya hai shauk mera..!!

[ This poem was written for all of my online frends, who shared good moments in chatting windows with me in last 10 years, they come and then they just disappear... this is just to tell them that I Love Them :) ]

Love
- N

 
Nace shyari 4 us
thnx

apan tuhade naal chating karke kite disappear ho v gaye ik wari bas ik wari sade yahoo id te msg tan pejo tuhanu online jaroor melange!
 
Top