Aadat

shokeenjatt

ShaukeenJatt
[FONT=&quot]Tum laut ke aao ge humse milney
Roz dil ko behlaane ki aadat ho gayi

Tere waade pe kiya bharosa kya hum ne
keh shab bhar tera intezaar karne ki aadat ho gayi

Khushi mein bhi hum kya muskurate keh
Teri judaai mei rone ki aadat ho gayi

Qaafiley nikal gaye humein choar ke
Keh ab tau tanha safar ki aadat ho gayi

Harr morh par mili gham ki parchaiyaan
Zindagi se samjhota karne ki aadat ho gayi

Jaante they keh nahi ho sakte kabhi tum hamare
Phir bhi khuda se tujhe maangne ki aadat ho gayi

Paiman-e-wafaa kya hai humein kya maloom
Ke bewafaaon se dil lagaane ki aadat ho gayi[/FONT]
 

MAVERICK

Member
tum post karo aur hum jawaab na den....:kin
yeh toh aisa huya ke..
tum kaan karo aur hum aawaaz na den...:an:umm

just kidding...
bai vadhiya likheya hai.....
 
Top