zaroori kaam hai lekin rozana bhul jati hun

:bonyzaroori kaam hai lekin rozana bhul jati hun
mujhe tum se mohabbat hai batana bhul jati hun
teri galiyon mein phirna itna achha lagta hai
main rasta yaad rakhti hun thikana bhul jati hun

:pr
bas itni baat par main logon ko achha nahi lagti
main neki kar to deti hun jatana bhul jati hun
shararat le ke ankhon mein wo tera dekhna tauba
main teri nazron pe jami nazren jhukana bhul jati hun
mohabat kab hui kaise hui sab yaad hai mujhko
main kar ke mohabat ko bhulana bhul jati hun
 
Top