zamaane bhar ke aage haath phailaane kahaan jaate

~¤Akash¤~

Prime VIP
na milta gham to barbaadi ke afsaane kahaan jaate
agar duniya chaman hoti, to viraane kahaan jaate

chalo achaa hua apnon mein koi gair to nikla
agar hote sabhi apne, to begaane kahaan jaate

duaaen do, mohabbat hum ne mit kar tum ko sikhla di
na jalti shamaa mehfil mein to parwaane kahaan jaate

tumhi ne gham ki daulat di bara ehsaan farmaaya
zamaane bhar ke aage haath phailaane kahaan jaate
 
Top