youn hosla Dil nay hara kab tha

~¤Akash¤~

Prime VIP
youn hosla Dil nay hara kab tha
Surtaan mera sitara kab tha

lazem tha guzerna Zindge say
bin zaher pieay Guzara kab tha

kuch pel Ossay Or dekh saktay
Aashkoo ko mager Gawara kab tha

Hum khud bhi Judie ka Sabeb thy
oss ka hi Kasoor sara kab tha

Aab or k Sath hai to kya dukh
Phely bhi koi humara kab tha

Ek naam pa zakhem khul Utthay thy
Qatil ki traf Ashara kab tha

Aieay Ho to Roshni howi hai
iss baam pa koi tara kab tha

dekha howa gaher tha per kisi nay
Dulhen ki trah Sunwara kab tha
 
Top