yehi sochta mein chala gaya

~¤Akash¤~

Prime VIP
woh khaloos tha ke khumaar tha
woh junoon tha ke saraab tha
mujhe sochne mein zamana laga
mujhe manzilon ne bhulaa diya
mujhe jis maseeha pe maan tha
mujhe us ne sooli charha diya

kayi humsafar kai rahguzar
mujhe raastey mein mile magar
meri tishnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai

woh jo roshni ki tarah badhe
magar aansuon mein samaa sake
jo subah ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravayatein
lahoo ki bali se sanwaar de
mujhe us wafa ki talaash hai
mujhe us wafa ki talaash hai

magar is jahaan-e-kharaab mein
yahaan khwaahishon ke saraab mein
mujhe kaun de aisi wafa
mein kahaan se laaun wo wafa
inhi uljhano mein ghira hua
yehi sochta mein chala gaya
 
Top