yeh zid kabi ab karna na k ab ki baar main sajna aa nhi paon

~¤Akash¤~

Prime VIP
ab ki baar main sajna
aa nhi paon ga

apni cheezon ka ab tum
khud hi khiyaal rakhna
haseen chandni raaton mein
khubsoorat dil kash barsaaton mein
tum muj ko yaad karna na
k
ab ki baar main sajna
aa nhi paon ga

aangan mein lage phoolon ko ab
tum khud hi seraab karna
palkon ko apni par tum ab
zer-e-aab karna na
k
ab ki baar main sajna
aa nhi paon ga

shakhon pe lagi konplein
jab phoolon mein badal jain gi
aur khushbooein in phoolon ki
tere aas paas bikhar jain gi
aanchal ko apne mere liye
phoolon se ab k barna na
k
ab ki baar main sajna
aa nhi paon ga

jo mann ho muj se milne ka
meri nazmon ko tum parah karna
main khud sunaon yeh nazmein
yeh zid kabi ab karna na
k
ab ki baar main sajna
aa nhi paon ga
 
Top