yeh hai moti inhe palkon par sajate kyun ho bana ke aansoo i

~¤Akash¤~

Prime VIP
yeh hai moti inhe palkon par sajate kyun ho
bana ke aansoo inhe nazron se girate kyun ho

jaane kya naam de duniya iss shabnam ko
tum inhe ruswai ka karobaar banate kyun ho

yeh kya har kisi se haal-e-dil kehna
shikwa mujhse hai duniya ko sunate kyun ho

duniya ko to yeh mehaz ek fasana lagta hai
tum chaak girebaan samne aate kyun ho

kaha to tha bahut sayano ne
dil be-ikhtiyaar hai isko samjhate kyun ho.
 
Top