ye tabiyat hai

ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaayenge ham
chaaraagar royenge aur Gam_Khvaar ban jaayenge ham

ham sar-e-chaak-e-vafaa hain aur teraa dast-e-hunar
jo banaa degaa hamen ai yaar ban jaayenge ham

kyaa Khabar thii ai nigaar-e-sher tere ishq mein
dil_baraan-e-shahar ke dil_daar ban jaayenge ham

saKht jaan hain par hamaarii ustavaarii par na jaa
aise TuuTenge teraa iqaraar ban jaayenge ham

aur kuchh din baiThane do kuu-e-jaanaaN mein hamen
raftaa raftaa saayaa-e-diivaar ban jaaye.ge ham

is qadar aasaaN na hogii har kisii se dostii
aashnaa_ii me.n teraa mayaar ban jaaye.nge ham

miir-o-Gaalib kyaa ke ban paaye nahiin faiz-o-firaaq
zam ye thaa ruumii-o-ataar ban jaaye.nge ham

dekhane mein shaaKh-e-gul lagate hain lekin dekhanaa
dast-e-gul_chiin ke liye talvaar ban jaaye.nge ham

ham chiraaGon ko to taariikii se la.Danaa hai 'Faraz'
gul hue par subah ke aasaar ban jaayenge ham
 
Top