ye na sochaa.......... har kisi ko .......raastaa dete huye.

~¤Akash¤~

Prime VIP
waqt...... khush khush kaatne kaa...... mashwaraa dete huye;
ro padaa wo aap ..........mujhko hauslaa dete huye.

us se ....kab dekhi gayee thi.......... mere rukh ki murdani;
fer letaa thaa wo munh......... mujhko widaa dete huye.

khwaab be-taabeer si sochein......... mere kis kaam ki;
sochtaa itnaa to..... wo dast-ataa...... dete huye.

be-zubaani bakhsh di...... khud ehtsaabi ne mujhe;
honth sil jaate hain..... duniyaa ko...... gilaa dete huye.

aap .....apne qatl mein shaamil thaa main..... maqtool shauq;
ye khulaa mujh par .......talab kaa khoonbal..... dete huye.

main.... use..... jab tak nazar aataa rahaa....... taktaa rahaa;
geeli aankhon...... ukhade lafzon se........ duaa dete huye.

jaane..... kis dahshat kaa saayaa....... usko muharlab huaa;
dar rahaa thaa..... wo...... mujhe khul kar sadaa dete huye.

be-amaan thaa aap..... lekin...... mojezaa hai ye ....RIYAAZ;
haalaye-shafqat thaa...... usko ........aasraa dete huye.

aap...... raah masdood kar degaa ........yahi badhtaa hujoom;
ye na sochaa.......... har kisi ko .......raastaa dete huye.........

RIYAAZ MAJEED
dast-ataa=dene waale haath;
khud ehtsaabi=apnaa hisaab karnaa;
maqtool=qatl hone waalaa;
khoonbal=khoon kaa badlaa;
muharlab=sile honth;
mojezaa=miracle;
haalaye-shafqat=hamdardi kaa gheraa;
masdood=band
 
Top