Ye kya kiya ke dard ko phir dil bana diya

~¤Akash¤~

Prime VIP
Khwab tote the agar tere bhi meri hi tarah
Bojh kuch teri bhi palkon ne uthaya hoga

Uthti naheen hai aankh kisi aur ki taraf
Pa-band kar gayee hai kisi ki nazar mujhe

Bhoole hain rafta rafta unhain muddaton main hum
Qishton main khudkushi ka maza hum say pocheeye

Samjha tha mein mujhe kisi kaabil bana diya
Ye kya kiya ke dard ko phir dil bana diya
 
Top