Yahi Wafaa ka silaah hai to koi baat nahi,

Vishal.Sharma

Dard Bhara Dil
Yahi Wafaa ka silaah hai to koi baat nahi,
Yeh dard tumne diya hai to koi baat nahi..!!

Yahi bahut hai ke tum dekhte ho sahil se,
Safeena doob raha hai to koi baat nahi..!!

Rakha tha ashiyana-e- dil main chupa ke tumko,
Woh ghar tumne chod diya hai to koi baat nahi..!!

Tum hi ne ayena-e-dil mera banaya tha,
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi..!!

Kiski majaal jo kahe koi mujhko deewani,
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi..!!
 
Top