yaa..... baat hamaari.... koi ....samjhaa hi nahin thaa.....

~¤Akash¤~

Prime VIP
sar pe... thi kadi dhoop..... bas..... itnaa hi nahin thaa;
us shahar ke..... pedon mein to.... saayaa hi nahin thaa.

paani mein.... zaraa der ko...... halchal to huyee thi;
fir yun thaa .....ki... jaise ....koi.... doobaa hi nahin thaa.

kandaa the.... mere zehan pe..... kyon uske khad-o-khaal;
chehraa..... jo... meri aankh ne..... dekhaa hi nahin thaa.

likkhe the.... safar paaon mein .....kis tarah thaharte;
aur ye bhi..... ki.... tumne to .....pukaaraa hi nahin thaa.

apni hi...... nigaahon pe....... bharosaa na rahegaa;
tum..... itnaa badal jaaoge...... sochaa hi nahin thaa.

har lafz ke..... maani hi badal daale the..... shaayad;
yaa..... baat hamaari.... koi ....samjhaa hi nahin thaa........

MANZOOR HAASHMI
kandaa=ankit
 
Top