Woh tera roothna mujh se,

~¤Akash¤~

Prime VIP



Woh tera roothna mujh se,
mera tujh ko mana lena,
Muhabbat ki nishani hai,
galay mujh ko laga lena…!

Muhabbat jiss se hoti hai,
ussi pe maan hota hai,
Kabhi main rooth jaaun tau
mujhe tum bhi mana lena…!

Anaa se door hi rehna,
k yeh sab kuch mita daygi,
Anaa k khol se khud ko
har surat bacha lena…!

Muhabbat ke samundar mein
ik tufan bhi uthta hai,
Is tufan mein jaanam
mujhe kashti bana lena…!

Agar doobain gay hum dono
tau ik sath doobain gay,
Mera tum se yeh waada hai,
magar tum bhi nibha lena…!!!
 
Top